zaḳhm-e-dil ho ga.e nasur tumhen kya ma.alum
tum to ho mujh se bahut duur tumhen kya ma.alum
mere honTon ke tabassum pe na jaana hargiz
hal-e-barbadi-e-majbur tumhen kya ma.alum
kab sitaron ka jahan ho gaya tarik nazar
chandni kab hui be-nur tumhen kya ma.alum
roz-o-shab kis pe baraste hain sitam ke patthar
dard se kaun hua chor tumhen kya ma.alum
kitne alam-o-masa.ib se guzarta huun main
ishq ke kya kya hain dastur tumhen kya ma.alum
kya bataoge ‘asad’ TuuT ke kya bikhra hai
tum to ho aaj bhi maḳhmur tumhen kya ma.alum
Leave a Reply