tamasha-gah-e-alam parda-dar ru-e-zeba hai
miri nazron men lekin ḳhud ye parda husn-e-yakta hai
mata-e-zauq-e-sajda se abhi taskin nahin hoti
ḳhuda jaane junun-e-roz-afzun ki dava kya hai
tire qadmon ki nisbat ko jabin-e-ḳhalq kya samjhe
koi puchhe mire dil se ki sang-e-dar tira kya hai
Leave a Reply