man bhi sha.ir ki tarah tan bhi ghazal jaisa hai
ye tire ruup ka darpan bhi ghazal jaisa hai
reshmi chuḌiyan aisi ki ghazal ke misre
ye khanakta hua kangan bhi ghazal jaisa hai
in lachakti hui zulfon men hai gokul ka saman
ye mahakta hua savan bhi ghazal jaisa hai
log-giton ki tarah tu bhi rasili hai magar
meri sajni tira sajan bhi ghazal jaisa hai
mere jazbat ki shoḳhi bhi ghazal jaisi hai
mere ehsas ka bachpan bhi ghazal jaisa hai
dekh kar tujh ko ghazal kaise na likkhe ‘qaisar’
tu ghazal jaisi hai yauvan bhi ghazal jaisa hai
Leave a Reply