Waqt Ki Chaak Pe taKHliq Nai Chahti Hai

vaqt kī chaak pe taḳhlīq na.ī chāhtī hai

zindagī aur zarā kūza-garī chāhtī hai

ek dahlīz hai jo paañv pakaḌ letī hai

ek laḌkī hai ki jo apnī ḳhushī chāhtī hai

aao ro leñ ki in āñkhoñ se zarā dhuup chhaTe

shaam kā vaqt hai ye miTTī namī chāhtī hai

pyaas kā khel dikhāne meñ koī harj nahīñ

mas.ala ye hai ki is baar nadī chāhtī hai

ishq parvān pe hai aao bichhaḌ jaa.eñ ham

ye taqāzā bhī hai duniyā bhī yahī chāhtī hai

ik nazar faaqe pe baiThī hai ka.ī haftoñ se

jaane kis yār-e-sitamgar kī galī chāhtī hai

Leave a Comment