charagh-e-yad ki lau ham-safar kahan tak hai
ye raushni miri dahliz par kahan tak hai
bas ek tum the ki jo dil ka haal jante the
so ab tumhen bhi hamari khabar kahan tak hai
musafiran-e-junun gard ho gae lekin
khula nahin ki tiri rahguzar kahan tak hai
har ek lamha badalti hui kahani men
hikayat-e-gham-e-dil mo’tabar kahan tak hai
zamin ki akhiri had par pahunch ke sochta huun
yahan se mausam-e-divar-o-dar kahan tak hai
bichhadne valon ko andaza hi nahin hota
tu ham-safar hai magar ham-safar kahan tak hai
ajiib log hain azadiyon ke maare hue
qafas men puchhte phirte hain ghar kahan tak hai
Leave a Reply