haae is majburi-e-zauq-e-nazar ko kya karun
vo mujhe dekhen na dekhen main unhen dekha karun
husn ke husn-e-nadamat ka taqaza hai ki aaj
sidq-e-dil se phir yaqin-e-vada-e-farda karun
main ne maana zamin-e-taskin-e-dil hai tark-e-shauq
lekin apne vaqiat-e-zindagi ko kya karun
zindagi shayad azaem-parvari ka naam hai
sochta huun har-nafas ab kya karun ab kya karun
Leave a Reply