ham na chhodenge mohabbat tiri ai zulf-e-siyah
sar chadhaya hai tu kya dil se giraen tujh ko
chhod kar ham ko mila shama-rukhon se ja kar
isi qabil hai tu ai dil ki jalaen tujh ko
dard-e-dil kahte hue bazm men aata hai hijab
takhliya ho to kuchh ahval sunaen tujh ko
apne maashuq ki sunta hai burai koi
kyuun na ham bigden jo aghyar banaen tujh ko
ruthta huun jo kabhi main to ye kahta hai vo shokh
kya gharaz ham ko padi hai jo manaen tujh ko
tu ne aghyar se aina manga kar dekha
dil men aata hai ki ab munh na dikhaen tujh ko
Leave a Reply