• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dariya Ho Ya Pahad Ho Takrana Chahiye

dariya Ho Ya Pahad Ho Takrana Chahiye

nida-fazli

dariya ho ya pahad ho takrana chahiye

jab tak na saans tuute jiye jaana chahiye

yuun to qadam qadam pe hai divar samne

koi na ho to khud se ulajh jaana chahiye

jhukti hui nazar ho ki simta hua badan

har ras-bhari ghata ko baras jaana chahiye

chaurahe baagh buildingen sab shahr to nahin

kuchh aise vaise logon se yarana chahiye

apni talash apni nazar apna tajraba

rasta ho chahe saaf bhatak jaana chahiye

chup chup makan raste gum-sum nidhal vaqt

is shahr ke liye koi divana chahiye

bijli ka qumquma na ho kaala dhuan to ho

ye bhi agar nahin ho to bujh jaana chahiye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Na Dekhen Kamtari Ab Kamtaron Ki

Yun Lagta Hai Jaise Hum Dariya Ke ruKH Par Rahte Hain

Shah-E-Rag Se Bhi Tu Qarib Hai Tera Ye Karam Hai Kamal Hai

Na Puchh Kyun Meri Aankhon Mein Aa Gae Aansu

Na toDo Zindagi Rishta Jahan Se

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet