
Hasan Nizami
juda.i bhi qarabat ki tarah thi
magar saa.at nahusat ki tarah thi
lipaT ke so gaya main zindagi se
ghazab-naki inayat ki tarah thi
vo fateh tha magar jazbe se aari
hamari haar nusrat ki tarah thi
hiran ki aankh men dahshat thi zinda
magar ye chashm hairat ki tarah thi
guzari thi jo saa.at saath tere
nazar men vo amanat ki tarah thi
yaqin karna guman ke da.ere men
tabi.at us ki aurat ki tarah thi
abhi jo ḳhaak ki paivand si hai
falak-bos ik imarat ki tarah thi
dua maan ki muhafiz thi nahin to
sa.ubat bhi qayamat ki tarah thi

Leave a Reply