achanak kis ko yaad aa.i hamari
kahani kis ne dohra.i hamari
chalo aaya na aaya jaane vaala
sada to lauT kar aa.i hamari
guzishta shab hava se guftugu ki
charaghon ne qasam khaa.i hamari
nazar aaya hai vo bimar apna
khuli jis par masiha.i hamari
tiri ḳhushbu se hai abad ab tak
ye bagh-e-dil ye angna.i hamari
zamin abad hoti ja rahi hai
kahan ja.egi tanha.i hamari
Leave a Reply