ranj-o-ġham laakh hoñ muskurāte raho
dost dushman se milte milāte raho
ye añdhere haiñ mehmān ik raat ke
tum magar sub.h tak jagmagāte raho
maiñ bhulāne kī koshish karūñgā tumheñ
tum mujhe roz-o-shab yaad aate raho
raah ke pech-o-ḳham ḳhud sulajh jā.eñge
sū-e-manzil qadam ko baḌhāte raho
abr ban kar baraste raho har taraf
umr shādābiyoñ kī baḌhāte raho
maut aa.e to ḳhāmosh kar jā.egī
zindagī giit hai is ko gaate raho
taaza dam mujh ko rakhnā hai ‘hāfiz’ to phir
har qadam par mujhe āzmāte raho