khuban-e-fusun-gar se ham uljha nahin karte
jadu-garon ki zulf men latka nahin karte
darte hain ki nalon se qayamat na macha duun
is khauf se vo vada-e-farda nahin karte
barbad hain lekin nahin yaron se mukaddar
go khaak hain par dil kabhi maila nahin karte
iqrar-e-shifa karte hain par rakhte hain bimar
achchha jo vo kahte hain kuchh achchha nahin karte
suraj hain kabhi chand kabhi shama kabhi phuul
kis roz nae ruup vo badla nahin karte
dil se huun ‘munir’ apne main ustad ka ashiq
tauqir o riayat miri kya kya nahin karte
Leave a Reply