majaz kaisa kahan haqiqat abhi tujhe kuchh ḳhabar nahin hai
ye sab hai ik ḳhvab ki si halat jo dekhta hai sahar nahin hai
shamim-e-gulshan nasim-e-sahra shua-e-ḳhurshid mauj-e-dariya
har ek garm-e-safar hai in men mera koi ham-safar nahin hai
nazar men vo gul sama gaya hai tamam hasti pe chha gaya hai
chaman men huun ya qafas men huun main mujhe ab is ki ḳhabar nahin hai
chamak damak par miTa hua hai ye baghban tujhko kya hua hai
fareb-e-shabnam men mubtala hai chaman ki ab tak ḳhabar nahin hai
ye mujh se sun le to raz-e-pinhan salamti ḳhud hai dushman-e-jan
kahan se rah-rau men zindagi ho ki raah jab pur-ḳhatar nahin hai
main sar se pa tak huun mai-parasti tamam shorish tamam masti
khula hai mujh par ye raz-e-hasti ki mujh ko kuchh bhi ḳhabar nahin hai
hava ko mauj-e-sharab kar de faza ko mast o ḳharab kar de
ye zindagi ko shabab kar de nazar tumhari nazar nahin hai
paḌa hai kya us ke dar pe ‘asghar’ vo shoḳh maa.il hai imtihan par
subut de zindagi ka mar kar niyaz ab kargar nahin hai
Leave a Reply