shaiḳh o panDit dharm aur islam ki baten karen
kuchh ḳhuda ke qahr kuchh in.aam ki baten karen
yas-o-hirman-o-gham-o-alam ki baten karen
aa dil-e-iza-talab kuchh kaam ki baten karen
ye suna.en paak naghme avvalin ilham ke
vo ḳhuda ke aḳhiri paigham ki baten karen
ham khaḌe sunte rahen aur dil men ye kahte rahen
ab ye ruḳhsat hon to ham kuchh kaam ki baten karen
dost se kah den dil-e-be-mudda.a ki dastan
aaj saaqi se shikast-e-jam ki baten karen
umr bhar ka ahd-e-ulfat ik ḳhayal-e-ḳham tha
aao lekin is ḳhayal-e-ḳham ki baten karen
zindagi be-shak tira in.aam hai ya-rab magar
sun sake to kuchh tire in.aam ki baten karen
Leave a Reply