ishq avara-mizaj
vo musafir to gaya
na koi us ki mahak hai ki jo de us ka pata
na koi naqsh-e-kaf-e-pa
na koi us ka nishan
koi talkhi bhi tah-e-jam na chhodi us ne
zindagi baaqi hai
ek sanjida hansi
soch si dil men basi
tez aai hui saans
zehn men thode se vaqfe se khatakti hui phans
aur dukhta hua dil
chot thi jis pe lagi
chot vaisi to nahin
dard baaqi to nahin
laakh maane na magar
kuchh pasheman sa dil
yuun badal jaane par
aap hairan sa dil
us ko kya apna pata
ye hai insan ka dil
koi patthar to nahin
jis pe mitti nahin pad jaae jo ik baar lakir
Leave a Reply