barq ko us par abas girne ki hain tayyariyan
barg-e-gul hi ashiyan ko apne hai chingariyan
ahd-e-tifli men bhi tha main bas-ki saudai-mizaj
bediyan minnat ki bhi pahnin to main ne bhariyan
maut ke aate hi ham ko khud-bakhud niind aa gai
kya usi ki yaad men karte the shab-bedariyan
ai khat us ke gore galon par ye tu ne kya kiya
chandni raten yakayak ho gaiin andhyariyan
khanda-e-gul se sada-e-nala aati hai mujhe
khun-e-bulbul se magar sinchi gai hain kyariyan
khaak ka putla bhi aahan se hai sakhti men fuzun
jism par insan ke talvaren hui hain ariyan
khauf-e-khaliq hai vagarna mohtasib kya maal hai
khan-e-qazi men ja kar kijiye mai-khvariyan
kuchh hamin khali nahin karte hain ye dair-e-kharab
phir gae hain yaar yunhi apni apni bariyan
hukm kar ‘atish’ ki bazar-e-mohabbat band ho
ab karen tatpujiye garm apni dukan-dariyan
Leave a Reply