jiit ki aur na haar ki zid hai
dil ko shayad qarar ki zid hai
koi bhi to nahin taaqub men
jaane kis se farar ki zid hai
ham se kuchh kah rahe hain sannate
par hamen intizar ki zid hai
ishq chahe ki lab ko jaam likhe
husn ko inkisar ki zid hai
barha ham ne sangsar kiya
par use e’tibar ki zid hai
ek anjam-e-tai-shuda ke liye
phir khizan ko bahar ki zid hai
ik baar us se kya milin nazren
dil ko ab baar baar ki zid hai
Leave a Reply