dil men poshida tap-e-ishq-e-butan rakhte hain
aag ham sang ki manind nihan rakhte hain
tazgi hai sukhan-e-kuhna men ye bad-e-vafat
log aksar mire jiine ka guman rakhte hain
bha gai kaun si vo baat buton ki varna
na kamar rakhte hain kafir na dahan rakhte hain
misl-e-parvana nahin kuchh zar-o-mal apne paas
ham faqat tum pe fida karne ko jaan rakhte hain
mahfil-e-yar men kuchh baat na nikli munh se
kahne ko shama ki manind zaban rakhte hain
ho gaya zard padi jis ki hasinon pe nazar
ye ajab gul hain ki tasir-e-khizan rakhte hain
evaz-e-mulk-e-jahan mulk-e-sukhan hai ‘nasikh’
go nahin hukm-e-ravan taba-e-ravan rakhte hain