jo ham kahen vahi tarz-e-bayan rakhta hai
vo apne munh men hamari zaban rakhta hai
rasa.i ta-ba-sar-e-la-makan rakhta hai
parind-e-fikr ghazab ki uḌaan rakhta hai
suna hai paanv tale asman rakhta hai
faqir-e-shahr baḌi an-ban rakhta hai
vo jis ko saya-e-divar tak nasib nahin
na jaane zehn men kitne makan rakhta hai
bahut baligh hai andaz-e-guftugu us ka
har ek lafz men ik dastan rakhta hai
koi na dekh sake us ke ghar ki halat-e-zar
vo shayad is liye uncha makan rakhta hai
vo sab se milta hai hans kar baḌe ḳhulus ke saath
ana ki tegh magar darmiyan rakhta hai
hamare shahr ki aghosh va hai sab ke liye
baḌi kushada-dili mezban rakhta hai
hamen to gaanv ki asudgi ne luuT liya
jahan faqir bhi apna makan rakhta hai
usi ke sar pe koi sa.eban nahin ‘tahir’
jo ḳhud ko sab ke liye sa.eban rakhta hai
Leave a Reply