ankhon men hain jo khvab koi janta nahin
is dil ka iztirab koi janta nahin
hai apni apni pyaas ka har ek ko khayal
dariya bhi hai sarab koi janta nahin
ye jante hain log ki anjam kya hua
kyon aaya inqalab koi janta nahin
zarre ki raushni ko samajhte hain sab haqir
hai vo bhi aftab koi janta nahin
ik hashr sa bapa hai anasir ke darmiyan
kis men hai kitni taab koi janta nahin
daava to apne ilm ka sab ko hai ai ‘ziya’
kya chiiz hai kitab koi janta nahin
Leave a Reply