juḌ jaa.en tasavir to ban jaa.e kahani
lamhat ikaTThe hon to kahla.e kahani
marna hi haqiqat hai to phir zindagi kya hai
ye dhuup ki shiddat ye ghane saa.e kahani
sab camere taqdir ki janib hi muḌe hain
koi miri mehnat pe bhi filma.e kahani
ik da.ere men ghumti hai soi ghaḌi ki
har baar zamana vahi dohra.e kahani
ham se to ye halat ki parten nahin khultin
har ek kahani men nazar aa.e kahani
kahte hain tag-o-dau men madad karta hai rab ḳhud
haare hue kirdar ko jitva.e kahani
manzar ki tarangon men vo gahra.i hai ‘zishan’
mujh ko to har ik aks nazar aa.e kahani
Leave a Reply