aap hi apna safar dushvar-tar main ne kiya
kyuun malal-e-furqat-e-divar-o-dar main ne kiya
mere qad ko napna hai to zara is par nazar
choTiyan unchi thiin kitni jin ko sar main ne kiya
chal diya manzil ki janib karvan mere baghair
apne hi shauq-e-safar ko ham-safar main ne kiya
manzilen deti na thiin pahle mujhe apna suragh
phir junun men manzilon ko rahguzar main ne kiya
har qadam kitne hi darvaze khule mere liye
jaane kya socha ki ḳhud ko dar-ba-dar main ne kiya
lafz bhi jis ahd men kho baiThe apna e’tibar
ḳhamushi ko is men kitna mo’tabar main ne kiya
zindagi tartib to deti rahi mujh ko ‘nasim’
apna shiraza magar ḳhud muntashar main ne kiya
Leave a Reply