harf men khun-e-jigar kis ka hai
ham se puchho ye hunar kis ka hai
ajnabi hai na shanasa koi
ek saaya sa magar kis ka hai
hijr ki shab ko lahu ham ne diya
ab kaho rang-e-sahar kis ka hai
khalvat-e-jan men hai ik halchal si
us taraf qasd-e-safar kis ka hai
tu agar samne maujud nahin
husn ta-hadd-e-nazar kis ka hai
sang hi sang hain angan men ‘ziya’
pas-e-divar shajar kis ka hai
Leave a Reply