hai tire daagh se tar sina-e-sozan mera
ab-o-rang aag se rakhta hai gulistan mera
gham ke hathon na raha kuchh bhi rafu ke qabil
bas-ki sau baar hua chaak gareban mera
mauj-e-dariya ki tarah zabt men aa sakta nahin
koi kyuun kar kahe ahval-e-pareshan mera
ru agar dijiye is ko bhi to kuchh aib nahin
aaine se bhi gaya kya dil-e-hairan mera
main to zahir na karun us ki jafa ko lekin
chhup sake kyon ki ‘yaqin’ zakhm-e-numayan mera
Leave a Reply