ba.is-e-arz-e-hunar karb-e-nihani nikla
lafz hi mamba-e-dariya-e-ma.ani nikla
sab ke honTon ko chhua abr-e-ravan ne lekin
mere hisse ka na dariyaon men paani nikla
kaun hota hai sharik-e-safar-e-tanha.i
mera saaya hi mira dushman-e-jani nikla
zindagi jis ke tasavvur men basar ki ham ne
haa.e vo shaḳhs haqiqat men kahani nikla
jis ke siine men bhi ‘shadab’ utar kar dekha
taḳhta-e-mashq-e-sitam haa.e girani nikla
Leave a Reply