jis raah se bhi guzar gae ham
har dil ko gudaz kar gae ham
jalve the kisi ke kar-farma
har naqsh men rang bhar gae ham
kya janiye kya tha us nazar men
uljhe to sanvar sanvar gae ham
ham bhanp gae the rang-e-mahfil
kahne ko to be-khabar gae ham
har dil tha udasiyon ka maabad
har gaam thahar thahar gae ham
be-mehri-e-dost talkhi-e-zist
kis kis se nibah kar gae ham
ummid-e-vafa pe jiine vaalo
ummid-e-vafa men mar gae ham