• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Us Se Mera to Koi Dur Ka Rishta Bhi Nahin

Us Se Mera to Koi Dur Ka Rishta Bhi Nahin

us se mera to koi duur ka rishta bhi nahin

aur ye bhi hai ki vo shaḳhs paraya bhi nahin

vo mire gham se ho anjan kuchh aisa bhi nahin

vo mira haal magar puchhne aaya bhi nahin

ghair ko qurb mayassar hai magar ai hamdam

meri ḳhatir to tira duur ka jalva bhi nahin

umr bhar saath nibhane ka karun kya va.ada

zindagi ab to mujhe ḳhud pe bharosa bhi nahin

is qadar mujh ko raha abru-e-gham ka ḳhayal

rona chaha to magar phuuT ke roya bhi nahin

ek teri jo tamanna na rahi ai hamdam

mere dil men to kisi shai ki tamanna bhi nahin

ek vo hain ki unhen aa.i hai aram ki niind

ek main huun ki kabhi chain se soya bhi nahin

baaz aate bhi nahin zulm-o-sitam se apne

dekh paate ho magar mera taḌapna bhi nahin

chhoḌe jaati hai magar ye bhi tujhe yaad rahe

zindagi tere siva ab koi apna bhi nahin

kis tarah phail ga.i bu-e-hina har janib

us ke baare men abhi main ne to socha bhi nahin

mujh ko halat ne behis hi bana kar chhoḌa

mere siine men ye dil hai ki dhaḌakta bhi nahin

bhuul ke saare sitam ham to chale jaate ‘zafar’

par hamen us ne kabhi dil se bulaya bhi nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hath Thame Chal paDa Hai Qafila Ummid Ka

abroo-shah-mubarak

Fajar Uth Khwab Sin Gulshan Mein Jab Tumne Mali Ankhiyan

ahmad-kamran

Tu Ziyaada Mein Se Bahar Nahin Aaya Karta

mubarak-azimabadi

Yahan Kya Hai Wahan Kya Hai Idhar Kya Hai Udhar Kya Hai

Iltifat-Ashna Hijab Tera

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet