ik zamin-doz asman huun main
haan miri jaan be-nishan huun main
mujh ko tauhid ho chuki azbar
la-makan ka naya makan huun main
dast-e-qudrat ki shah-kari ka
ḳhud men abad ik jahan huun main
kab se amada sajda-rezi par
ab-o-gil hi ke darmiyan huun main
maut se kahiye aa.e fursat men
abhi masruf-e-imtihan huun main
kis tarah se bane ziyada baat
zarra-e-kun huun kam-zaban huun main
lau se bahti hui ziya ho tum
lau se uThta hua dhuan huun main
jaise tu mera raz-e-pinhan hai
aise hi tera raz-dan huun main
jis se larzan hai pattharon ka vajud
a.ina-zad vo fughan huun main
maut to kab ki mar chuki lekin
bazm-e-imkan men javedan huun main
tum tasalsul na.i baharon ka
aur ujḌi hui ḳhizan huun main
teri yadon ka is men dosh nahin
be-sabab aaj nim-jan huun main
Leave a Reply