Zard Chehron Pe Shadmani de

zard chehron pe shadmani de

harf-e-be-nam ko kahani de

reza reza bikharta jaata huun

mujh ko meri koi nishani de

khauf das jaega makinon ko

lafz tiryak ko maani de

ai sharab-e-tahur ke malik

pyase logon ko saada paani de

saari basti ko mat jala maula

bijliyon ko miri nishani de

jin ko hijrat ne maar daala hai

un ko jiine ka izn-e-sani de

Leave a Comment