main hijab-e-guman tu hijab-e-yaqin
likh miri ruuh par iztirab-e-yaqin
jab muqaddar men be-nur ta.abir thi
kyon dikha.e ujalon ne ḳhvab-e-yaqin
apne hone ka ehsas bhi vahm sa
ka.enat-e-tafakkur sarab-e-yaqin
jism se ruuh tak agahi ka safar
aur kuchh bhi nahin inqalab-e-yaqin
harf-ta-harf sab nafs be-nur hain
aaj dimak-zada hai kitab-e-yaqin
kitni gahri hai idrak ki tirgi
mere dil men utar aftab-e-yaqin
chhin lena basarat mire ilm ki
jab bhi karne lagun ehtisab-e-yaqin
mera malbus ban e’timad-e-amal
le tire naam hai intisab-e-yaqin
da.era da.era sab hi mahsur hain
kaun kholega ‘parvaz’ bab-e-yaqin
Leave a Reply