ham tujh se kis havas ki falak justuju karen
dil hi nahin raha hai ki kuchh aarzu karen
mit jaaen ek aan men kasrat-numaiyan
ham aaine ke samne jab aa ke hu karen
tar-damani pe shaikh hamari na jaiyo
daman nichod den to farishte vuzu karen
sar-ta-qadam zaban hain juun shama go ki ham
par ye kahan majal jo kuchh guftugu karen
har-chand aaina huun par itna huun na-qubul
munh pher le vo jis ke mujhe ru-ba-ru karen
ne gul ko hai sabat na ham ko hai e’tibar
kis baat par chaman havas-e-rang-o-bu karen
hai apni ye salah ki sab zahidan-e-shahr
ai ‘dard’ aa ke baiat-e-dast-e-subu karen
Leave a Reply