kisi tarah ki ibadat rava nahin rakhunga
sanam rakhunga main dil men khuda nahin rakhunga
tamam-umr guzarunga abiyari men
kuchh is tarah ki main khud ko hara nahin rakhunga
jo aane vaale hon pahle se ittilaa karen
ki umr-bhar to main khud ko khula nahin rakhunga
main jam ke sounga aunga khvab men milne
firaq men bhi kabhi rat-jaga nahin rakhunga
Leave a Reply