yusuf hi zar-kharidon men firoz-bakht tha
qimat men jis ki phir vahi shahi ka takht tha
majlis men teri kavish-e-mizhgan ke haath se
ghuncha namat har ek jigar lakht lakht tha
aansu to chiir kar saf-e-mizhgan nikal gaya
ladka tha khurd-sal pe dil ka karakht tha
tujh pe gudaz dil hai sarapa ai shama-ru
juun nakhl-e-mom baagh men har ik darakht tha
‘iman’ afrin hai ki us bad-mizaj se
yarane ka nibahna dushvar sakht tha
Leave a Reply