
Syed Kashif Raza
har ek chiiz mayassar siva.e bosa hai
aur apne gham ka sabab iltava-e-bosa hai
bhale to lagte hain inkar-e-bosa par bhi ye honT
kabhi to ye kaho ”ye lab bara.e bosa” hai
mire qarib se honTon ko mat guzar itna
ki chal rahi mire sar men hava-e-bosa hai
chhupaya kar nahin honTon ko muskurate hue
ye ja-e-sharm nahin hai ye ja-e-bosa hai
lab-e-ḳhamosh pe bhi hai mire hi kaam ka harf
miri murad ye bhi hai jo pa-e-bosa hai
samajh men kuchh nahin aata ki bolti ho kya
labon pe khelti phirti nida-e-bosa hai
yahi na chhoḌ ke ja tishna-kam honTon par
ki ye to bosa-e-sahv-e-qaza-e-bosa hai
tumhari ḳhush-dahni se hai asl men sarokar
ye lab ka bosa to bas ibtida-e-bosa hai
bas ek bosa-e-sub.h aur ek bosa-e-sham!
faqir-e-bosa huun aur iltija-e-bosa hai
laban-e-bosa-chashida bhi ḳhuub hain lekin
nigah men ek but-e-naḳhuda-e-bosa hai

Leave a Reply