• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jala Ke Mishal-E-Jaan Hum Junun-Sifat Chale

Jala Ke Mishal-E-Jaan Hum Junun-Sifat Chale

majrooh-sultanpuri

jala ke mishal-e-jan ham junun-sifat chale

jo ghar ko aag lagae hamare saath chale

dayar-e-sham nahin manzil-e-sahar bhi nahin

ajab nagar hai yahan din chale na raat chale

hamare lab na sahi vo dahan-e-zakhm sahi

vahin pahunchti hai yaaro kahin se baat chale

sutun-e-dar pe rakhte chalo saron ke charagh

jahan talak ye sitam ki siyah raat chale

hua asiir koi ham-nava to duur talak

ba-pas-e-tarz-e-nava ham bhi saath saath chale

bacha ke laae ham ai yaar phir bhi naqd-e-vafa

agarche lutte rahe rahzanon ke haath chale

phir aai fasl ki manind barg-e-avara

hamare naam gulon ke muraslat chale

qatar-e-shisha hai ya karvan-e-ham-safaran

khiram-e-jam hai ya jaise kaenat chale

bula hi baithe jab ahl-e-haram to ai ‘majruh’

baghal men ham bhi liye ik sanam ka haath chale

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ghamon Ki Raat Hai Aur Itni muKHtasar Bhi Nahin

Chaman Chaman Kahin Aansu ghuTa ghuTa Kahin Aah

asif-ud-daula

Talib Ho Wahan Aan Ke Kya Koi Sanam Ka

haidar-ali-aatish

dil Bahut Tang Raha Karta Hai

Main Is Hisar Se Niklun to Aur Kuchh Sochun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet