banaya ek kafir ke taiin us dam main do kafir
mire munh se jo nikla na-gahan o kafir o kafir
musalman dekh kar us but ki surat ko ye kahta hai
musalmani kahan kii? bandh le zunnar, ho kafir
tujhe parva nahin hargiz kisi ki tu hai be-parva
tire is husn-e-kafir par pari ho jaae go kafir
shab-e-hijran men jo dil dam-ba-dam fariyad karta hai
khafa ho kar kahun main koi saaat tu to so kafir
kahan tak ai dil-e-shorida tu aansu bahavega
shab aai subh hone par bas itna bhi na ro kafir
ham apna din-o-iman pahle us ko nazr karte hain
hamare samne is shakl se aata hai jo kafir
tiri baton se to ai ‘mushafi’ ji apna tang aaya
khuda ke vaste chup rah na meri jaan kho kafir
Leave a Reply