aai bahar shorish-e-tiflan ko kya hua
ahl-e-junun kidhar gae yaran ko kya hua
ghunche lahu men tar nazar aate hain tah-ba-tah
is rashk-e-gul ko dekh gulistan ko kya hua
yaqut-e-lab tira hua kyuun khat se jurm-var
zalim ye rashk-e-laal-e-badakhshan ko kya hua
us jama-zeb ghuncha-dahan ko chaman men dekh
hairan huun main ki gul ke gareban ko kya hua
aane se tere khat ke ye kyuun dil-e-girafta hai
batla ki teri zulf-e-pareshan ko kya hua
kyuun gard baad se ye udata hai sar pe khaak
huun main to ja-e-qais bayaban ko kya hua
rote hi tere gham men guzarti hai us ki umr
puchha kabhi na tu ne ki ‘taban’ ko kya hua
Leave a Reply