tere gulzar ki ḳhushbu se saja rahta hai
mere darbar ka jo dar hai khula rahta hai
har qadam saath raha karti hain yaden teri
dhyan tera hi dar-e-dil pe dhara rahta hai
vasvase yuun to Darate hain andheron se magar
meri rahon men bhi ik diip jala rahta hai
phir muḳhalif ko main dildar bana.un kaise
ab inayat ka andaz juda rahta hai
ik gharana jo hai pahchan mire hone ki
un rivayat ka ehsas sada rahta hai
Leave a Reply