ab tak mujhe na koi mira raz-dan mila
jo bhi mila asir-e-zaman-o-makan mila
kya jaane kya samajh ke hamesha kiya gurez
sau baar bijliyon ko mira ashiyan mila
ukta gaya huun jada-e-nau ki talash se
har raah men koi na koi karvan mila
muddat men ham ne aap banaya tha ik ufuq
jaate the us taraf ki tira astan mila
kin hauslon ke kitne diye bujh ke rah ga.e
ai soz-e-ashiqi tu bahut hi garan mila
kya kuchh luTa diya hai tiri har ada ke saath
kya mil gaya hamen jo ye husn-e-bayan mila
tha ek raz-dar-e-mohabbat se lutf-e-zist
lekin vo raz-dar-e-mohabbat kahan mila
ik umr ba.ad isi mutalavvin nigah men
kitni mohabbaton ka ḳhazana nihan mila
ab justuju ka ruḳh jo muḌa hai to mat pukar
sab tujh ko DhunDte the magar tu kahan mila
Leave a Reply