Na Mere Pas Izzat-E-Ramazan

na mire paas izzat-e-ramazan

na kabhu ki ibadat-e-ramazan

dushman-e-aish ka main dushman huun

go ki the farz hurmat-e-ramazan

mujh ko masjid se kaam nahin illa

sunne jaata huun rukhsat-e-ramazan

shaikh rota hai apni rozi ko

ki na az-bahr-e-furqat-e-ramazan

kuchh na hasil hua kisi ke taiin

ghair faaqa badaulat-e-ramzan

zahid-e-khushk ke taiin dekhe

yaad aati hai surat-e-ramazan

mere ham-mashrabon men aa ‘taban’

rijhte honge hazrat-e-ramazan

Leave a Comment