Qayas-O-Yas Ki Had Se Nikal Kar

qayās-o-yās kī had se nikal kar

chalī jā.ūñ kahīñ chehra badal kar

uḌegī raakh phir merī havā meñ

subuk-raftār ho jā.ūñgī jal kar

maiñ sūraj ke ta.āqub meñ rahūñgī

tulū-e-sub.h ho jā.ūñgī Dhal kar

tilism-e-mehr-o-mah ko toḌ Daale

zamīñ apnī harārat se pighal kar

abhī pahlā qadam tai kar rahī huuñ

dobāra gir paḌī thī maiñ sambhal kar

raheñ phūloñ bhare raste salāmat

safar kāTūñgī angāroñ pe chal kar

mire attār ne ḳhushbū banā.ī

bahut ma.asūm phūloñ ko masal kar

Leave a Comment