kahte hain ham udhar hain sitara hai jis taraf
main janta huun un ka ishara hai jis taraf
sab chahte hain sat.h-e-samandar pe likkhe jaaen
par jaate hain udhar ko kinara hai jis taraf
ye kya zarur hai yahan umren guzar den
ik hadse ne ham ko utara hai jis taraf
ye asman aaine ki shakl hai koi
ham us taraf hain us ka nazara hai jis taraf
Leave a Reply