Aankhon Mein Chubh Rahi Hai Guzarti Ruton Ki Dhup

āñkhoñ meñ chubh rahī hai guzartī rutoñ kī dhuup

jalva dikhā.e ab to na.e mausamoñ kī dhuup

shām-e-firāq guzre to sūraj tulūa ho

dil chāhtā hai phir se vahī qurbatoñ kī dhuup

is meñ tamāzateñ bhī sahī shiddateñ to haiñ

ulfat kī chhāñv se hai bhalī nafratoñ kī dhuup

maiñ us ke vāste huuñ bahāroñ kī chāñdnī

us kā vajūd mere liye sardiyoñ kī dhuup

mahrūmī-e-visāl hai ‘nāsir’ mujhe qubūl

is par magar paḌe na kabhī gardishoñ kī dhuup

Leave a Comment