gar ishq se vaqif mare mahbub na hota
hota na main mahjur vo mahjub na hota
afat-talab apne jo dil o diida na hote
talib main tira tu mira matlub na hota
meri si tarah ishq se hota kabhi betab
eajaz-numa sabr ka ayyub na hota
naame ka mire ye tha javab ai mah-e-nau-khat
ye qaeda-e-qasid-o-maktub na hota
targhib-e-vafa karna tujhe mujh pe rava tha
gar sheva jafa ka tira marghub na hota
‘hasrat’ na agar us ka qad o zulf banate
duniya men kahin fitna-o-ashob na hota
Leave a Reply