kya kahen kyunkar hua tufan men paida qafas
mauj jab bal kha ke uTThi ban gaya dariya qafas
zindagi gham ka badal hai arzuen yaas ka
asman sayyad ham qaidi hain aur duniya qafas
dil ke haq men siina zindan aarzu ke haq men dil
saikḌon dekhe hain lekin ye naya dekha qafas
din asiri ke ba-har-surat guzare ja.enge
ek qaidi ke liye hai kya bura achchha qafas
koi bhi divar sadd-e-rah ho sakti nahin
tol baiThe par to phir sayyad kya kaisa qafas
apna ghar phir apna ghar hai apne ghar ki baat kya
ghair ke gulshan se sau darja bhala apna qafas
ai ‘falak’ aa.i yahan bhi mujh ko yad-e-ashiyan
barq tu gardun pe chamki jagmaga uTTha qafas
Leave a Reply