sar-ta-ba-qadam ḳhuun ka jab ghaza laga hai
tab zaḳhm ki gahra.i ka andaza laga hai
ye raat ka jangal ye ḳhamoshi ye andhera
patta bhi jo khaḌka hai to avaza laga hai
malum nahin mera khula dasht kahan hai
sahra ka ḳhala bhi mujhe darvaza laga hai
ehsan ye kuchh kam to nahin gul-badanon ka
jo zaḳhm hai siine pe gul-e-taza laga hai
yakja hue yadon ke umaDte hue paikar
phir muntashir apna mujhe shiraza laga hai
Leave a Reply