bahut zindagi ka bhala chahta huun
ba-alfaz-e-digar qaza chahta huun
miri vahshaton ka sabab kaun samjhe
ki main gum-shuda qafila chahta huun
buton se huun bezar itna ki bas ab
ḳhuda hi ḳhuda bas ḳhuda chahta huun
ye duniya ye uqba to sab chahte hain
magar main kuchh is ke siva chahta huun
judagana hain ab yazidi mazalim
so main karbala bhi juda chahta huun
anasir ki zanjir ko toḌ kar main
fana chahta huun baqa chahta huun
mujhe shak hai hone na hone pe ‘ḳhalid’
agar huun to apna pata chahta huun
Leave a Reply