kaise amiir kis ke gada tajdar kya
darul-fana men jabr hai kya iḳhtiyar kya
vo tez dhuup hai ki pighalne lage hain ḳhvab
zulfon ke saa.e denge fareb-e-bahar kya
abad kar ḳharabae–zehn-o-ḳhayal ko
shahron men DhunDhta hai sukun-o-qarar kya
simTe to musht-e-ḳhak hai ye aadmi ki zaat
bikhre to phir ye arsa-e-lail-o-nihar kya
main huun ‘sarosh’ banda-e-majbur-o-na-tavan
mujh men bhi tera aks hai parvardigar kya
Leave a Reply