ham ko ma.alum hai baton ki sadaqat teri
log kya kya nahin karte hain shikayat teri
malka-e-husn nahin phir bhi tu ai jan-e-vafa
achchhi lagti hai bahut hi mujhe surat teri
koi mushkil bhi ho ḳhatir men na laate the kabhi
hausla kitna baḌhati thi rifaqat teri
tu hi batla ki bhala tujh ko bhula.en kyuun kar
samne ankhon ke aa jaati hai surat teri
kya kahen ham ki guzar jaati hai dil par kya kya
yaad aati hai jo rah rah ke inayat teri
log kya saada hain ummid-e-vafa rakhte hain
jaise ma.alum nahin un ko haqiqat teri
ab kahan rahta hai kya karta hai ‘nadir’ mere
muddaton ba.ad nazar aati hai surat teri
Leave a Reply