yusuf-e-husn ka husn aap kharidar raha
pahle bazar-e-azal misr ka bazar raha
bismil-e-naz raha Kushta-e-raftar raha
zindagi bhar mujhe marne se sarokar raha
jurm-e-na-karda uqubat ka saza-var raha
shaikh sarshar-e-siyah masti-e-pindar raha
parda-e-chashm jo pas-e-adab-e-yar raha
main raha samne tu bhi pas-e-divar raha
dil ye shadi-e-jarahat se hua balida
ki tira tiir yahan ta-lab-e-sufar raha
gir ke nazron se tiri phir na zamin se uttha
main subuk bhi jo hua tu bhi giran-bar raha
aaj hi aaj hai farda-e-qayamat maujud
do ghadi aur jo hangama-e-raftar raha
tuur tu barq-e-tajalli se hua khakistar
aur main sokhta-e-hasrat-e-didar raha
rahm us sada-dili par ki mira zakhm-e-jigar
ghair se chara-o-darman ka talabgar raha
main vo ik mujrim-e-taazir talab huun ki sada
badle dushman ke uqubat ka saza-var raha
bas-ki dil men rahi ik kashmakash yas-o-ummid
dard jo dil men raha jaan se bezar raha
ab vo farda bhi nahin rose ki taskin ke liye
ab faqat hashr hi par vaada-e-didar raha
pi bhi ja shaikh ki saaqi ki inayat hai sharab
main tire badle qayamat men gunahgar raha
khush huun chup rahne se un ke dam-e-paigham-e-visal
ki ye inkar to kuchh shamil-e-iqrar raha
sar pe phirta hi raha aur na gira mujh pe kabhi
asman ban ke tira saya-e-divar raha
garche kya kuchh the magar aap ko kuchh bhi na gina
ishq-e-barham zan-e-kashana-e-pindar raha
tum ne yuun ghar men to kya kuchh na uthae fitne
ik qayamat ka uthana sar-e-bazar raha
haae vo chashm ki dekhe tujhe sargarm-e-ada
vaae vo dil ki tira mahram-e-asrar raha
main raha bhi to raha khaar ki surat ki sada
teri nazron men subuk-dil pe tire yaar raha
chashm par nashsha-e-saqi jo rahi aks-fagan
chuur masti se har ik saghar-e-sarshar raha
huun men vo jins ki huun raunaq-e-bazar-e-kasad
huun vo sauda ki kharidar bhi bezar raha
kuchh khabar hoti to main apni khabar kyuun rakhta
ye bhi ik be-khabari thi ki khabar-dar raha
thak ke baithe ho dar-e-saumaa par kya ‘anvar’
do-qadam aur ki ye khana-e-khummar raha
Leave a Reply